Sunday, 14 February 2016

Computer Ki Puri Jankari Hindi Me


Computer Kya Hai – Computer Ki Puri Jankari Hindi Me


Aaj ki is technical duniya me koi hi aysa hoga jisne computer ke bare me nahi suna ho or computer se ab tak anjan ho. kyuki aaj bahut se kam computer ki madad se hi hote hai. so har ek educated person ke pas computer ya laptop mil jata hai. chaliye aaj hum bhi jan lete hai ki computer kya hai or ye kya kaam aata hai. computer ki basic knwoledge kya hoti hai. basic computer kaise sikhe and or bhi bahut kuch is post me aapko bta raha hu.



Computer koi ek cheez nahi hai. ye kei hardware or sofware se mil kar bana hota hai. jaise keyboard, mouse, cpu, moniter etc. is post me mai aapko sabke bare me details se btaunga. aap bas apna 5 minutes ka time nikal kar post ko pura padiye.

Aaj ke is badlte yug ko computer ka yug (world) kaha jata hai. computer aaj bahut jyada important ho gaya hai. isliye har kisi ko computer ki jankari hona jaruri ho gaya hai. agar aapko computer ki jankari nahi hai to aapko computer ki thodi bahut (Basic jankari) to honi hi chahiye. to chaliye is post ko dhyan se padiye.

Computer Kya Hai?

Computer ek electronic device hai or aaj ke new computer electronic hone ke sath digital bhi hai. jo input ke madyam se aankado ko recieve karta hai. unhe proccess kareta hai or suchnao ko ek fix jagah par store karta hai. simple shabdo me kahu to computer ek tarah se ek machine hai. jise humare jarurat ke kamo ko karne ke liye banaya gaya hai. computer ko ek shabd me paribhashit nahi kiya ja sakta hai. isliye mai aapko iske bare me details se btata hu.

Computer Ko Electronic Mashine Kyu Kahte Hai?

Ek tarah se computer khud kuch nahi karta hai. computer se jo kuch hota hai. hume usme wo pahle se store karna padta hai. computer usi store ki gayi jankari ko hume dikhata hai. examply hum apne computer me windows XP, windows 7, windows 8 or 8.1 and windows 10 jo bhi use karte hai. humare PC me usi ke jisab se fuction hote hai. is tarah hum jo bhi file computer me store karenge computer hume wohi dikhayega. uske pas khud ka kuch bhi nahi hota. windows ke alawa hum computer ki hard disk me jo memory insert karenge. hum computer par wohi dekh sakte hai. isliye ise ek electronic machine kahte hai. jo inshan ke nirdesho (instructions) par kam karti hai.

Computer Kya Hai Computer Ki Puri Jankari Hindi Me

Computer ke 2 parkar hote hai. ek hardware or ek software. agar simple bhasha me kahu to hardware ko manushy (Human) ka sharir or software ko inshan ki aatma kahna galat nahi hoga. ise aap is prkar samajh sakte hai.
1. Hardware:
Hardware computer ke un hisso ko kahte hai jinhe hum apni aankho se dekh sakte hai. unhe touch kar sakte hai or jarurat padne par un par aojaro se kaam kar sakte hai. hardware computer ke wo bhag hote hai jo wastav me hote hai.
2. Software:
Software computer ka wo bhag hota hai jise hum apni aankho se nahi dekh sakte hai. unhe chu nahi sakte or na hi un par aujaro se kam kar sakte hai. software hardware ka bilkul ulta hota hai. inka kam computer ko order dene ka hota hai. or jin ke order par computer ka hardware kam karta hai.

Hardware V/s Software


  1. Hardware ko computer banane wali companies me hota hai jabki software ka nirman computer ke jankar ke dimag se hota hai. my means hardware ko hatho se bana sakte hai but software ko inshan apni soch se banata hai.
  2. Hardware ko hum apni aankho se dekh sakte hai magar sotware ko nahi dekh sakte hai.
  3. Hardware ko banane ke liye kuch samman (product) ki jarurat padti hai jabki software ko banane ke liye kisi product ki jarurat nahi hoti hai.
  4. Hardware ko ke kharab hone par hum use computer se alag kar sahi karwane le ja sakte hai magar software ko theek karwane ke liye hume computer ko shoap dukan par le jana padta hai.
  5. Hardware ka kam nirdesho ka palan karna hota hai or software ka kam hardware ko nirdesh dene ka hota hai.
  6. Hardware ko banane ke liye karkhano me bahut sari machino ki jarurat padti hai jabki software ko computer ka jankar koi  bhi aadmi apne dimag se bana sakta hai.

Computer Basic Units

Basic units yani mool ikayiya. inka matlab computer ki un bato se hai jinse gannao ka kam shuru hota hai.
1. Bit 
Bit yani binary digT. bit computer computer ki memory ki sabse choti unit hai. yeh memory me ek bynery ank 0 and 1 ko show karta hai
2. Byte
ye computer memory ki manak unit hai. computer memory me keyboard ka har ek button isme sanchit hota hai. ise ASCII Code kahte hai. har ASCII code 8 byte ka hota hai. isi tarah 8 byt se mil kar 1 bit banti hai.

Computer Kaam Kaise Karta Hai?


  1. Input ke sadhan jaise keyboard, mouse, CPU se hum apne nirdesh data processer ko send karte hai.
  2. processer humare nirdesh ka palan kar kaam karta hai.
  3. future ke liye suchna, data ko computer ki hard disk me save kar sakte hai.
  4. jaise hi processer humare order ka palan karta hai to wo use screen par show karne ke liye bhej deta hai.

My means computer ko hum jo order dete hai. wo usi par kam karta hai. ek bar computer ko band karne par wo sabkuch bhool jata hai or fir se start karne par par shuru se kam karta hai. ayse me hum apni data computer ki hard disk me save kar sakte hai or dubara computer ko start kar un par kam kar sakte hai.

Computer Ki Memory Tips (युक्तियाँ)

1. Read Right Memory (RAM):
ye wo memory hoti hai hai jisme user kuch smay ke liye apna data save rakh sakta hai. simple shbdo me jab tak computer on hai data save rahta computer band hone ke bad ram me save ki gayi files remove ho jati hai.
2. Dynamemic Ram (DRAM):
is ram ka kam khali memory ko bharna hota hai. xamply aapke computer ki kisi file me 200 music songs hai or usme se aap bich ke 100 to 150 tak 50 music songs delete kar dete hai to 150 to 200 tak ke songs ko 100 to 150 tak karna is ram ka work hota hai.
3. Read Only Memory (ROM):
Is memory me store ki gayi jankari ko hum sirf read kar sakte hai. but usme editing nahi kar sakte hai.

Data Kya Hai?

Imperfect facts points ( असिध्द तथ्य अंक ) or Statistics Group ( सांख्यिकी समूह ) data kahlata hai. jis par process ( प्रक्रिया ) karne se Expressive ( अर्थपूर्ण ) declaim ( सुचना ) recieve hoti hai.

Process ( प्रक्रिया ) Kya Hai?

Data jaise word, numberic ya kisi photo ko orderly ( सुव्यवस्थित ) karna hi process kahlati hai. jaise jodna, ghatana, bhag dena, guna karna etc.

Declaim ( सुचना ) Kya Hai?

jis data par process ho chuki ho wo suchna kahlati hai.

Computer hardware structure – कंप्यूटर हार्डवेयर संरचना

Computer hardware structure ko aap is image se samajh sakte hai.

I hope aapko ye post pasand aayegi. or wese bhi aaj ke jamane me har kisi ko computer ki basic jankari honi chahiye. kyuki aane wale samay me har kam machines se hone lagega or machines ko computer se control kar sakte hai. so aapko computer ki jankari ki jarurat padegi.
  • Agar aap apna khud ka Blog banana chahte hai to Click Kare 

0 comments: